Thursday 5 October 2017

Shayri Jo Dil Mai Bas Jaye / Kuch Behtareen Shayri

              Shayri Jo Dil Mai Bas Jaye

HOME               MERI ADHOORI KAHANI 






---
Tez Barish Mai , Kabhi Sard Hawao Mai Raha
Ek Tera Zikr Tha Jo Meri Sadao Mai Raha
Kitne Logo Se Mere Rishte Hai Magar
Tera Chehra Hi Meri Duaon Mai Raha

---
Vo Kuch Sunta To Mai Kehta , Mujhe Kuch Or Kehna Tha
Vo Pal Bhar Ke Liye Jo Rukta , Mujhe Kuch Or Kehna Tha
Galat Fehmi Ne Baton Ko Yun HI Badha Dala Varna 
Kaha Kuch Tha VO Kuch Samjha , Mujhe Kuch Or Kehna Tha

---
Koun Rota Hai Yahan Raat Ke Sannato Mai
Mere Jaisa Hi Koi Ishq Ka Mara Hoga
Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Usko
Meri Kismat Ka Jaise Hi Ishara Hoga

---
Tumhe Maloom Hai Jana !
Ki TUm Bhi Ek Katil Ho 
Mere Ander Ka Ek Hasta Hua Insan 
Tumne Maar Dala Hai...!!!

---
Badi Udaas Hai Meri Zindgi Tere Bin
Nahi Kuch Mere Paas Tere Bin
Andhera Ho Ya Ujala Ho
Aata Nahi Raas Kuch Bhi Tere Bin

---
Romantic Si Kahani 



---
Dil Par Kya Guzri Vo Anjaan Kya Jane 
Pyar Kise Kehte Hai Vo Nadaan Kya Jane
Hawa Ke Sath Ud Gaya Ghar Is Parinde Ka
Kaise Bana Tha Ghosla Vo Toofan Kya Jane ..!!

---
Kanto Mai Rehkar Bhi Hum Zindgi Ji Lete Hai
Har Zakham Ko Apne Hatho Se See Lete Hai
Jis Hath Ko Keh Diya Dost Ka Hath
Hum Us Hath Se Zeher Bhi Pee Lete Hai

---
Har Nazar Ko Ek Nazar Ki Talash Hai
Har Chehre Mai Kuch To Khas Hai
Aapse Dosti Hum Yun Hi Nahi Kar Bethe
Kya Karen Hamari Pasand Hi Kuch Khaas Hai

---
Manzil-e-ishq Mai Har Shaksh Bezubaa Nikla
Jisko Ghum Samjha Tha Vo Dard Ka Dariya Nikla
Gana Bulbul Ka Suna , Gul Ki Aah-vazari Bhi Suni
Gulshan-e-Ishq Se Har Phool Pareshan Nikla

---
Na Jane Kyu Nazar Lagi Zamane Ki
Ab Vajah Milti Nahi MUskurane Ki
Aapka Gussa Hona To Jayaz Tha
Hamari Aadat Badal Gayi Manane Ki

---

Lahu !  Jo Rago Mai Machal Sa Raha Hai
Dard Jo Seene Mai Machal Sa Raha Hai
Meri Dhadkano Mai Sambhal Sa Raha Hai 
Sirf Or Sirf Tu Hai.......!!!

---
Kisi Ko Kya Btayen Kitne
 Majboor Hai Hum 
Chaha Tha Sirf Tumhe Or 
Tumhi Se Door Hai Hum...!!!

---
Mohabbat Karne Valo Ka 
Anjaam Ajeeb Dekha
Chand Lamho Ki Khushi 
Ghum Behisaab Dekha

---
Kashti Bhi Nahi Badli Dariya Bhi Nahi Badla
Or Doobne Valo Ka Jazba Bhi Nahi Badla
Hai Shok-e-safar Aisa Arse Se Yaro
Manzil Bhi Nahi Badli Rasta Bhi Nahi Badla

---
Himmat To Itni Thi Samander Bhi Paar Kar Sakte The
majboor Itne Hue Do Boond Aansuo Ne Duba Diya

---
Aap To Chand Hai JIse Sab Yaad Karte Hai
Hamari Kismat To Taron Jaisi Hai
Yaad To Door ...!!!
Log Apni Fariyad Ke Liye Hmare Tootne Ka Intazar Karte Hai

---
Ek Lamhe Mai Hi Mere Mann Ko Bhigo Deti Hai
Uski Har Baat Hi Sawan Ki Tarah Hoti Hai
---
Heart Touching Love Shayri Click Here

---
Do Labon Ke Mil Jane Ko Pyar Nahi Kehte 
Ye Vo Rishte Hai Jo Zyada Din Nahi Rehte
Karte Hai Jo Dil Se Mohabbat Janab 
Vo Jismani Bhook Par Tike Nahi Rehte

---
Tooti Hai Neend Meri Lekin Isse Tumhe Kya  ?
Bajte Rahe Hawaon Se Darr Lekin Tumhe Isse Kya  ?
Gairo Ka Hath Thamo Unhe Raasta Dikhao...
Main Bhool Jaun Apna Hi Ghar 
Tumhe Isse Kya  ?

---
Pyar Usko Milta Hai Jiski Takdeer Hoti Hai
Bahot Kam Hatho Mai Ye Lakeer Hoti Hai
Kabhi Juda Na Ho Pyar Kisi Se Kisi Ka
Kasam Khuda Ki Bahot Takleef Hoti Hai

---
Thukra Diya Hai Jiske Liye Is Jahan Ko
Ya Rab Vo Mera Dil Na Dukhaye Sari Umar

---
Rone KI Saza Hai Na RUlane KI Saza Hai
Ye Dard, Mohabbat Nibhane Ki Saza Hai
Haste Hai To Aankho Se Nikal aate Hai Aansu
Ye Ek Shaksh Ko Beinteha Chahne Ki Saza Hai

---
Ilzaam Lagane Se Koi Gunehgaar Nahi Hota
Hawa Ke Jhonke Se Bikhar Jaye VO Pyar Nahi Hota
Vo Kya Khaak Mohabbat Karenge 
Apne Pyar Par Jinhe Aitbaar Nahi Hota

---
Pyar Kiya Badnaam Ho Gaye
Charche Hamare Sare Aam Ho Gaye
Zalim Ne Us Vakt Chhoda Humko
Jab Hum Uske Gulaam Ho Gaye

---
Chand Ko Dekhkar Hi Aati Hai Eid Agar
Yakeen Mano Mai Roz Eid Karta Hun

---
Hote Hai Apni Aankho Ke aansu Bhi Bewafa
Nikalte Hai Aksar Dusro Ke LIye...

---
Maine Chaha Hamesha Koi Ho Apna
Iske Siwa Kuch Kabhi Chaha Nahi
Apna Naseeb Hi Na Jane Ye Kaisa Hai
Mujhe Poori Tarah Koi Mila Nahi

---

Thanks For Reading 

Ye Bhi Padhiye .....



3 comments:

Popular Posts

Amazing Fashion Point